📌 Bring Back "Dekha Ek Khwaab" for Season 2 on Sony TV

The Issue
Hello Friends and Team Sony Entertainment Television,
Hum sabhi Indian Television ke One of the Most Beautiful aur Unique Royal Show "Dekha Ek Khwaab" ke die-hard fans hain. 2011-2012 mein aaya yeh show sirf ek kahani nahi, balki hum sabke dilon ka ek behad khaas hissa ban gaya thha.
Rajkumari Manyata aur Yuvraj Udayveer Singh ki sizzling chemistry, unka nok-jhok waala rishta aur wo royal drama aaj bhi hum sabko bohot yaad aata hai. Show ka plot itna amazing thha ki itne saal beet jaane ke baad bhi fans Manyata aur Udayveer (Manyaveer) ko bhool nahi paaye hain.
Hum yeh petition kyun start kar rahe hain?
1. Incomplete Story: Show ka ending bohot jaldi mein kiya gaya thha, jisse Manyata aur Udayveer ki kahani poori tarah clear nahi ho paayi. Fans unki aage ki married life aur royal journey dekhna chahte hain.
2. We Only Want Ashish Kapoor & Priyal Gor: Humari sabse badi aur mukhya maang yeh hai ki hum Lead Characters ke tor par sirf aur sirf Ashish Kapoor (Udayveer) aur Priyal Gor (Manyata) ko hi dekhna chahte hain. Unki jagah koi bhi naya actor Manyaveer ka wo magic create nahi kar sakta. Unki chemistry hi is show ki jaan hai!
3. Huge Fan Demands: Aaj bhi Instagram aur YouTube par is show ke edits par hazaron views aur comments aate hain, jahan fans lagatar isi cast ke saath Season 2 ki maang karte hain.
4. Perfect Fit for OTT: Agar TV par jagah nahi hai, toh SonyLIV par iska Season 2 ya ek finite web series ke roop mein ise laya ja sakta hai, jaise baaki purane shows ke sequels aa rahe hain.
Our Request to Sony TV & Rose Audio Visuals:
Hum aapke aage haath jodkar request karte hain ki please Manyaveer ki is adhuri dastan ko poora kijiye. Hum Priyal Gor aur Ashish Kapoor ke saath hi Dekha Ek Khwaab Season 2 dekhna chahte hain! Koi replacement hume manzoor nahi hai.
To All the Fans:
Guys, agar aap bhi Priyal aur Ashish ko Manyaveer ke roop mein vapas dekhna chahte hain, toh please is petition ko SIGN kijiye aur jitna ho sake share kijiye. Humari ekta hi is show ko vapas la sakti hai!
Thank you!
#WeWantDekhaEkKhwaabSeason2 #Manyaveer #AshishKapoor #PriyalGor

43

The Decision Makers
Petition Updates
Share this petition
Petition created on 8 October 2026