Babar's Career Is Destroying - Remove Aqib & Mike, Need Legend Coach Before WC 2027

Asslamualaikum! UPDATE - 696 Supporters, But Stuck From Last 3 Months!
Dosto, ye petition maine 4 months pehle isi liye start ki thi:
1. Pakistan cricket ka system is time bhot ganda hai.
2. Jab se Mike Hesson aur Aqib Javed aaye hain (2024 se), inhone All Formats me team ko barbad kar diya hai.
3. Sab se important: In dono ne intent ke chakkar me Babar Azam ki sari game kharab kar di hai.
4. Proof: Babar ki 2015 wali old batting/stance dekho aur ab 2026 wali dekho, zameen asman ka farq hai. Pehle class wali cricket khelta tha.
5. Hal: In dono ko foran head coach ki post se remove kiya jaye aur inki jagah kisi legend ko laya jaye - Younis Khan, Muhammad Yousaf, Saeed Anwar, Inzamam, Javed Miandad me se kisi 1 ko.
6. New Coach ka pehla kaam: Sab se pehle Babar ki fitness pe hard work kare, fitness sahi hogi to technique khud sahi ho jayegi In Sha Allah.
7. Phir Babar ke liye duniya ke 2-3 top coaches hire kiye jayen jo sirf Babar pe kaam karein.
8. Sawal ye hai: Ye sab karega kon? Jab tak Aqib aur Mike hain, ye nahi hoga.
9. Isi liye shuruwat in dono ko remove karwane se hi hogi.
10. Time bhot kam hai, World Cup 2027 ko sirf 1 saal rehta hai. Ye Babar aur Fakhar ka 50/50 last World Cup ho sakta hai. Time bhot speed se guzar jayega.
Petition Link: https://c.org/Kgb8cgsvgy
IMPORTANT REQUEST: Babar Azam ke jitne bhi overall all loyal fans hain, wo sab zarur is message ko samjhein aur zyada se zyada share karein all platforms pe - Facebook, Insta, TikTok, Twitter/X and Messenger pe. Ye sirf Babar ke fans ke liye nahi, poori Pakistan cricket ke liye hai.
Isi liye 696 se 1000 signatures karna zaroori hai taake PCB tak awaz jaye. Please share karein!